Wednesday, June 28, 2006

Faasle....

Nazdeekiyon ka mausam hai
Dooriyon ka ehsaas hai
Kya ajeeb shikwe hain
Yeh kaise faasle hain...

Lamhon se juda waqt hai
Inme Dhadkanon ki madhosh daud hai
Kya ajeeb shikwe hain
Yeh kaise faasle hain...

Samajh ka Bhawandar hai
Kya tera kya mera hai
Yeh Zindagi ki nazm hai
Kya ajeeb shikwe hain
Yeh kaise faasle hain..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home