Ghutan...
Yeh ajeeb sa vaatavaran
Darr ka taandav rachta yeh mann
Soch ki anginat kashish
Yeh mann ki kaisi ranjish
Yeh dhuvidha ki ghutan.....
Darr ka taandav rachta yeh mann
Soch ki anginat kashish
Yeh mann ki kaisi ranjish
Yeh dhuvidha ki ghutan.....
Har jagah yeh na thamti bheed
Phir kyun hai is paagal mann ko umeed
In khaanpte hoton pe ek paigaam
Phir jaane kya hoga kaisa anjaam
Yeh khamoshi ki ghutan....
Phir kyun hai is paagal mann ko umeed
In khaanpte hoton pe ek paigaam
Phir jaane kya hoga kaisa anjaam
Yeh khamoshi ki ghutan....
Haathon mein khaanch ke tukde
Pairon mein paththar ki lakeerein
Main chali jaa rahi is jeevan ki pariksha mein
Naa jaane kis aakanksha mein
Yeh khula aasman thandi hawa de raha
Phir bhi naa jaanu main
Kyun hai saanson ki ghutan...
Pairon mein paththar ki lakeerein
Main chali jaa rahi is jeevan ki pariksha mein
Naa jaane kis aakanksha mein
Yeh khula aasman thandi hawa de raha
Phir bhi naa jaanu main
Kyun hai saanson ki ghutan...
0 Comments:
Post a Comment
<< Home